Top 10 Ways To Popular Your Blog Post – Blog Post Popular Kaise Kare

Hello Friends. Swagat hain apka Gadgets Official mein. Aj ke post mein hum baat karenge Top 10 Ways To Popular Your Blog Post – Blog Post Popular Kaise Kare. Ap post likhte waqt aisa kya likhe ki Readers ka dhayan laga rahe post ko padhte waqt. Aj main apne secrets sab apke samne batane wali hu jo maine piche 4 saal me sikhe hain.

Market me Blogging ka bahut naam hain. Aur Blogging se bahut Bloggers achi khasi income kar rahe hain. Blogging me success hone ke liye apke likhe hue post ka popular hona bahut jaruri hain. Agar apka ek bhi post popular ho gaya to ap anuman nahi laga sakte hain ki ap kitni Income kar sakte hain us post se.

Apko post ka content aise likhna hain, jaise agar koi reader ek bar apke site pe aake post padhe toh wo bar bar aye.

Post ap kisi bhi topic pe likh sakte hain. Ap ye mat sochiye ki jis topic ke bar me ap likhna chahte hain uske upar post bahut koi likh chuka hain. Agar same topic pe apka content acha aur attractive hain to apke post pe bhi traffic jarur ayegi. ye mera dawa hain.

Toh chaliye Aj hum Blog Post Popular karne ke 10 asardar tarike ko batane wale hain jiski madad se ap bhi apne post ko popular kar sakte hain aur apne website pe bahut sari traffic la sakte hain wo bhi free me. Iske liye apko meri ye post poori end tak padhni hogi. Toh chaliye suru karte hain.

Blog Post Popular Kaise Kare – Top 10 Ways to Popular your Blog Post


1.  Do not Rush to Write Post (Post likhne mein Jaldbaji kavi na kare)

Jaldbaji kisi bhi kam ko bigad sakti hain. Islie agar apko bhi jald baji me Post likhne ki adat hain to ap is adat ko jald se jald chor dijiye. Warna Apki post kavi bhi Google me rank nahi karne wali.

Jald baji karne se ap bahut sare important points ko miss kar sakte hain jo apke post ko popular karne me madad kar sakte the. Islie jab bhi ap post likhne baithe to pehle Importants points sab ko note kar le taki ap koi bhi points ko miss na kare likhte waqt. Kiu ki apki ek galat jankari ya adhuri jankari apke sare traffic gawa sakti hain.

Ek aur baat ka jarur dhayan dijiye jo main personally karti hu. Post likhne ke bad use kam se kam 2 bar jarur padhe. Isse bahut sare mistakes ko ap sudhar payenge aur logo ko bhi apke Blog pe aa ke padhne me maja ayega.

2. Post me Attractive Headline ka use kare (Use a good headline in your post)

Agar ap blogging me naye hain to is rule ko apne top mein rakhe. Apke Blog ke post ka headline aisa hona chahiye jise padhte hi readers ko post ka acha khasa idea ho jaye. Headline jitna simple aur clear hoga, Google use achi tarah samjh payega aur apke post ko top me rank karne mein bhi madad karega.

Post ka headline, apke main focus keywords hote hain jise ap apne post mein alag alag jagah use karte hain. Islie Headline ko soch samajh ke hi likhe.

Bahut koi aisa karte hain ki Headline me kuch aur likhte hain aur Post ke body mein kuch aur. Isse kya hota hain ki uska Content acha hone ke babjud readers tak nahi pahuchta. Aur Google bhi aise post ko Click Bait samajhta hain.

Islie Apke Post ka headline ikdam simple aur clear hona chahiye.

3. Hamesha achi aur sahi Information hi de (Always try to give the best information)

Jab bhi ap kisi topic pe post likhne baithe toh us topic pe ap achi khasi jankari internet se juta le. Aur main points ka list jarur bana le.

Isse kya hoga ki jab ap post likhne baithenge, koi points ap miss nahi karnege.

Dusro ki post ko padhte waqt ye baat jarur dhayan de ki unke post mein aisa kya likha hain jo readers ko bahut pasand aa rahi hain. In sabko ap note kar ke jaur rakhe taki jab ap post ko likhe tab ap un sab points ko apne post mein include kar sake.

Post likhte waqt ek post ko dusri post se link karna na bhule. Isse post ki value badhti hain. Islie ek achi post likhne ke lie ap time le aur aram se soch samjhkar hi likhe. Apki ek achi post apke Blog pe unlimited traffic la sakti hain.

4. Post likhte waqt apne topic be bane rahe

Post ko kavi bhi jald baji me na likhe warna apka dhayan bhatak sakta hain. Ek achi Post likhna ek art hain, jo sab ke bas ki baat nahi hain. Islie aram se time le ke hi baithe post ko likhne ke liye taki apka dhayan bana rahe post ko likhne mein aur ap apne topic se na bhatke.

Agar ap ek teacher hain to apko post likhne mein bahut jada mehnat nahi karni padegi. Islie jab bhi ap post likhe, ap apne ap ko ek teacher samjh lijiye aur samajh lijiye ap apne students ko samjha rahe hain. Aur samjhate waqt ap jo jo bolenge bas wahi sab ap apne sabdo me likhte jaye.

Aisa karne se apka post simple language me banega aur jo bhi ise padhega wo samjh payega aur jada time le ke apka post bhi poora padega bhale hi apki post kitni bhi badi ho. Isse apki Blog Post ki value bhi badhegi.

5. Apne Blog ka Presentation aur Design simple rakhe (Keep your blog Presentation and Design simple)

Agar apke Blog ke reader ko apke Blog post ka design pasand aa gaya to samjh likhiye apka 40 % kam ban gaya. Isliye Blog ka Presentation aur design bahut jada maine rakhta hain.

Apne Blog ko sundar banane ke lie ap responsive theme ka istemal kar sakte hain. Apko bahut sare free theme mil jayenge internet pe. Lekin ap meri baat maniye to free theme ka use na kare kiu ki free theme pe apka poora control nahi hota. Thoda bahut kharch kar ke premium theme hi lijiye.

Theme ko customize karte waqt post pe jada widgets ka use na kare. Isse apke Reader ko pareshani hogi, aur agar apke reader ko pareshani hogi to wo apke blog pe ana band kar denge. Isliye jaruri widgets ka hi sirf use kare, taki apke readers ko apke blog pe Post padhne me koi dikkat na ho.

Post ko design karte waqt ap apne dusre post ko bhi link kare taki agar apke reader ko wo post pasand aa rahi hai to wo apki dusri bakiyo post ko bhi padhna chahenge. Isse bhi ap apne readers ko apne blog pe jada der rehne pe majbur kar sakte hain. Isse apki Post value time bhi badhegi.

6. Post ko Social Media pe jarur Share kare (Promote Post on Social Media)

Apne koi post likha aur apne use share hi nahi kiya to apke us Blog pe traffic ana thoda muskil ho jayega. Kiu ki Google se instant traffic ki umid karna bekar hain. Lekin ap apne blog pe social media ki help se instant traffic jarur la sakte hain.

Jab bhi ap new post publish karne wale honge usse tin char din pehle se ap social media pe iska promotion kare. Isse apke readers ko apke www.gadgetsofficial.com pe likhe post ka intejar rahega. aur jaise hi ap post publish karenge aur social media pe share karenge, apke readers ise ek bar jarur padh ke dekhenge.

Social media pe aj kal dost banana bahut asan ho gaya hain. Aur ap bahut kam samay mein achi khasi fan following bana sakte hain. Yehi wajah hain ki apko social media se achi khasi traffic bhi mil jati hain.

7. Hamesha apne Reader se Connect rahe (Always be connected to your reader)

Agar ap Blogging me success hona chahte hain to apko apne Reader ke sath connect rehna hoga, unke sath kuch time spent karna hoga.

Agar apka post padhke apke readers comment karte hain ya koi acha ya bura, jo bhi feed back dete hain, apko unka reply karna chahiye. Isse apke aur apke reader ke bich communication badhega. Apke upar unka ek biswas bhi banega.

Apne reader se connect rehne se ap apne reader ko achi tarah samajh payenge. Wo apse kya chahte hai, kis bare me unhe apse imformation chahiye, unke pasand na pasand ke bare mein apko pata chalega. Aur ap in sab chijo ko dhayan me rakh ke jab post ko likhenge to apke readers ko jada pasand ayega. Aur apke Blog ki traffic bhi badhegi.

8. Apni post ki Value ko samay ke sath badhate rahe (Try to increase the value of your post)

One way to make Blog Post popular is to better keep your post’s value from time to time. Post Value kya hota hain main apko ek example se samjhati hu. Suppose apne ek post likhi hui hain apne blog pe. Like ‘Top 10 ways to Popular your Blog Post’. Kuch samay ke bad apko 5 aur naye tariko ka pata chala aur ap use bhi add karna chahte hain apne post mein. Tab ab ap apne post ko modify karenge aur ab apke post ka title hoga ‘Top 15 ways to popular your Blog post’. Ise hi kehte hain Post ki Value ko badhana.

Is tarah bhi ap apne post ki value ko badha sakte hain. Aur aisa karne se Apki traffic bhi bani rahegi is post pe.

9. Apne post ko samay ke sath jarur update kare (Post Updating with time to time is also Important)

Suppose apne apne blog pe post likha aur use publish kar diya. Aur use samay ke sath update nahi kiya. To hoga kya ki apke us post pe traffic ane automatic band ho jayenge. Kiu ki google usi website ke blog ko apne ranking list me upar lati hain jo time to time update hoti rehti hain.

Islie hamesha khosish kijiye, ap apne blog ko time to time update karte rahe. Isse apke Post ki traffic bani rahegi.

So to make Blog Post popular you can also adopt this method which will definitely be helpful for you.

10. Post likhne ka Style Unique rakhe (Keep the style of post writing Unique)

Baat jaha Blog Post ko popular karne ki ho to Post likhne ke style ke bare mein baat jarur hoti hain. Post likhne ka style Unique rakhe taki readers ko post samajhne mein koi dikkat na ho.

Agar meri post aj popular hain to jada tar iska main reason content quality aur writing style hain. Iska andaja ap meri avi ki post aur poorane post ko compare kar ke laga sakte hain. Jab se maine mere post ke style mein changing ki hain tab se maine mere site ke traffic mein ijafa dekha hain.

Islie jab bhi ap apne Blog pe post likhe uske style ko unique jarur rakhne ki khoish kare.

Conclusion


Aisi hi aur bhi bahut sari chije hain jo matter karti hain apke Blog ke Post ko Google Search Engine mein rank karwane mein. Jaise jaise ap apne blog pe jada se jada time spent karenge dhire dhire apko sab samajh mein ane lagegi. Islie khosish kijiye jada se jada time ap apne blog pe dene ka.

Main umid karti hu dosto, ap logo ko ye Post jarur kam ki lagi hogi. Agar Post kam ki lagi ho toh comment kar ke apna feed back jarur de aur Post ko share jarur kare. Isse hamara manobal badhta hain. Thank You.

Leave a Comment